shahid bhagat-singh

By tilok-chand-mahroomNovember 23, 2020
zindan mein shahidon ka wo sardar aaya
shaida-e-watan paikar-e-isar aaya
hai dar-o-rasan ki sarfaraazi ka din
sardar bhagat-singh sardar aaya


ta-dar-o-rasan shauq se ithla ke gaya
to shan-e-shahadat apni dikhla ke gaya
tukde hota hai dil tere matam mein
lashe ka ang ang katwa ke gaya


pi kar mai-e-shauq jhumna wo tera
be-parwayana ghumna wo tera
hai naqsh tere ahl-e-watan ke dil par
phansi ki rasan ko chumna wo tera


jam-e-hubb-e-watan ke ai matwale
ai paikar-e-namus hamiyyat wale
ho aalam-e-arwah mein shadan ki nahin
ab tere watan mein wo hukumat wale


74916 viewsnazmEnglish