shahr-e-KHamoshan ko dekh kar

By ali-manzoor-hyderabadiApril 22, 2023
nahin ye dher mitti ke sabaq-amoz-e-ibrat hain
karun ai ham-nashin kyunkar na in se istifada main
nishan-e-raftgan main ne har ek manzil mein paya hai
isi ibrat-kade ne kya khayal un ka jamaya hai


qayas apna kiya un par jo main ne ai sharif insan
nazar aaya mujhe un mein koi khandan koi giryan
yahan mazlum hi rahte nahin hain balki zalim bhi
nazar pahlu-ba-pahlu aate hain mahkum-o-hakim bhi


na dekha tum ne shayad un ko ab tak chashm-e-ibrat se
khuda-ra lo sabaq kuchh bhi to in alwah-e-turbat se
humayun hai yahan aasuda wo qabr-e-halaku hai
suna hai ye koi murshid hai aur wo ek daku hai


wo shah-zor aaj bekas hain jo kamzoron se ladte the
khuda jaane ki ahl-e-hilm se kyunkar bigadte the
karo yaad un buzurgon ko sharafat jin pe hai nazan
na bhulo un ko bhi jo the sipah-salar-e-sharbazan


nigahon mein unhen rakkho ubharna hai agar tum ko
khayalon mein unhen parkho sanwarna hai agar tum ko
36963 viewsnazmEnglish