gul-o-gulzar ke manzar wo sheron mein dikhata hai wo apne hi khayalon ki nai duniya basata hai faza-e-qudrat-e-haq mein sada aabaad hota hai khuda ki qudraton ko dekh kar dil shad hota hai wo goya ek kuze mein hi dariya band karta hai wo do lafzon mein qudrat ka tamasha band karta hai gulistan mein kabhi bulbul-sifat mahw-e-tarannum hai kabhi mahfil mein ja ja kar wo masruf-e-takallum hai sada rah-e-khuda mein bakhshne ka hai khayal us ko kafan ke waste kaudi bhi rakhni hai muhaal us ko kisi ko dard mein dekhe to dil mein dard paida ho kisi majburi-e-haalat pe aah-e-sard paida ho nahin dil mein tamanna us ke kuchh shan-e-amiri ki sada dil shad rakhti hai use lazzat faqiri ki zamane ne nahin dekha koi khuddar shair sa gharaz koi nahin ehsan-na-bardar shair sa rifaqat desh ki karta hai us ka aashna ban kar dikhata qaum ko rasta hai us ka rahnuma ban kar