kaun hai jis ki sisakti hui fariyaadon ne mere ehsas ke har tar mein larzish bhar di kis ki aawaz se larzan hai har ek tar-e-hayat kis ki aahon ne mere khun mein sozish bhar di han wahi jis ne kabhi raat ke sannate mein apne armanon ka ek khwab saja rakkha tha jis ne aandhi ke sanakte hue jhonkon mein nadim ek charagh-e-shab-e-ummid jala rakha tha us ki duniya mein garajte rahe haalat ke abr us ke aakash pe chhaya kiye kale baadal sar uthae hue hansta hua tufanon par us ke sapnon ka banaya hua wo rang-mahal ab bhi us ke rag-o-pai mein wahi jaulan hai lahu jis ke shoalon se dahak uthte hain shahi aiwan us ke sulge hue jazbon mein wo garmi hai ki aaj aamriyat ke kaleje se nikalta hai dhuan