sham-e-ghurbat

By syed-ali-husain-shah-aliOctober 4, 2023
dekhta hun chha rahi hai har taraf
sham-e-ghurbat aaj hindostan mein
ye bhi koi zindagi hai jab nahin
khushk tukda qismat-e-insan mein


sainkadon faqon ke mare ja base
qaum ke farzand qabristan mein
hakimon ke sag hain palte dudh par
aap ki daulat se inglistan mein


par tumhein milti nahin nan-e-jawin
jaan aae kis tarah se jaan mein
mal-o-daulat ja raha hai raat-din
lut ke inglistan mein japan mein


sab ghulami ke karishme hain 'ali'
aaj ghurbat hai jo hindostan mein
93480 viewsnazmEnglish