sham ke surmai andhere mein ek parinda udan bharta hai chahta hai kisi ka sath mile raat ki be-qarariyon ka azab yaad kar ke wo kanp uthta hai is liye sham ke dhundalke mein ghonsle ko wo chhod deta hai aur musalsal safar mein rahta hai lekin us ka safar sada ki tarah tishnagi ka azab sahta hai