shararat

By ahmad-nadeem-qasmiMarch 1, 2021
ek baks kahin se laenge roghan se use chamkaenge
ek dabbe mein basi phulkon ka ek ambar lagaenge
ladkon se kahenge aao gramophone phone tumhein sunwaenge
sanduq aur dabba khol ke phir nachenge shor machaenge


aaj apne har ham-joli ko hum ullu khub banaenge
amjad chuni aur tulsi ko dawat pe bulaya jaega
ek lamba chauda ujla dastar-khwan bichhaya jaega
dongon ka aur pleton ka ek dher lagaya jaega


jab dhakne dongon se utthe un mein meindak tarraenge
aaj apne har ham-joli ko hum ullu khub banaenge
topi mein ghanti latka kar hum haule haule jumenge
sab bachche mare khauf ke khana pina bhulenge


hum bhut aaya chillaenge wo zor se aankhen mundenge
jab rone par aaenge tab ghanti ka raaz bataenge
aaj apne har ham-joli ko hum ullu khub banaenge
bhayya se kahenge jaldi bahar chaliyega tar aaya hai


shayad sarkar ne nau sau par fauran shimle bulwaya hai
ammi ne kaha jab kuchh bhi nahin ek billa chuha laya hai
to hum khane ki mez ke niche chupke se chhup jaenge
aaj apne har ham-joli ko hum ullu khub banaenge


31446 viewsnazmEnglish