shararat ka maza

rashida thi yun to badi nek ladki
magar us mein ye ek aadat buri thi

wo har chiz ko chhuti aur chhedti thi
ye baat us ki ghutti mein goya thi

burai ho ek bhi to kaisi buri hai
bhalai ki rag katne ko chhuri hai

kabhi chae-dani ka dhakna uthati
wo ye jhank kar dekhti is mein kya hai

kabhi ketli ko ulat kar giraati
samajhti jo dhyan aap ka bat gaya hai

use rokte bhi to rukti wo kab thi
buri us mein aadat padi ye ajab thi

ye ek din ka hai zikr qissa hua kya
tipai pe dadi ne ainak ko rakha

thi niswar ki bhi wahin ek dibiya
rashida ne un donon chizon ko taka

ye socha ki dekhungi chizen ye kya hai
zara dadi aman haten yan se jaen

gharaz un ke hatte hi us ki ban i
usi waqt aankhon pe ainak lagai

wo dibiya bhi niswar ki us ko bhai
ki rangin dhakne mein thi khush-numai

wo ainak to pahle laga hi chuki thi
hui fikr dibiya ko ab kholne ki

kaha dil mein mujh se kahengi ye dadi
ki beti na chhuna ise bhul kar bhi

magar shukr hai is ghadi wo nahin hain
na abba na aman na aapa kahin hain

zara khol kar dekh lun is mein kya hai
abhi band kar dungi phir harj kya hai

rashida ne dibiya ka dhakna jo khola
to us mein laga zor ka ek jhatka

hawa mein wo niswar har samt phaili
rashida ke chehre pe ud ud ke i

na aankhen na nathune na munh aur thodi
jagah ek bhi us ne baqi na chhodi

hui nak niswar se us ki lat-pat
na puchho bani us ghadi us ki kya gat

wo ghabra ke har har taraf khub daudi
magar phir bhi chhinkon se fursat na pai

na aaram us ko mila ek pal bhi
na mil pai us ko zara der kal bhi

wo ghabrai itni ki ainak ko phenka
chali phir wo pani se dhone ko chehra

nihayat hi nazuk the ainak ke shishe
wo girti hi bas ho gae tukde tukde

mili us ko apne kiye ki saza ye
ki milti hai phute hiye ki saza ye

phir itne mein dadi ko aate jo dekha
hua haal abtar bahut phir to us ka

rashida ari tujh ko ye ho gaya kya
ye dadi ne tewri chadha kar jo puchha

to bas sharm se gad gain b rashida
ajab soch mein pad gain b rashida

rashida ki haalat hui ghair dukh se
raha kaam us ko khushi se na sukh se

kiya us ne wada ye kha kha ke qasmen
ki ab bhul kar bhi na chhedungi chizen

suna hai ye 'nayyar' ne logon ka kahna
rashida ne wada kiya apna pura


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close