shart-e-rifaqat

tum mere pas raho sath raho
aur ye ehsas rahe

main ki aazad hun jine ke liye
aur zinda hun khud apne andar

apni hi zat mein tabinda hun
apni har sans pe qabza hai mera

apni pakiza tamannaon ki takmil ka haq hai mujh ko
apne masum se jazbaat ki tarsil ka haq hai mujh ko

ye zamin meri bhi ye dasht-o-chaman mere bhi
sirf aangan hi nahin koh-o-daman mere bhi

mah-o-anjum bhi mere nila tabaq mera bhi
jitna un par hai tumhaara wahi haq mera bhi

shart bas ye hai
ki tum sath raho pas raho

meri har marzi mein shamil ho tumhaari marzi
meri har sans ki shahid hon tumhaari sansen

mere har raaz ki hasil ho tumhaari dhadkan
aur hum ek hi zanjir mein pa-basta hon


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close