ye surkh dhaare qadim waqton ki dastanon ke surkh-rawi kanar-e-ab-e-falak hain dastar banne wale nakhil-zade nawah-e-basra mein phailti bad-guman subhen faza mein be-nam siskiyon ki shikasta-lahren jinhen munafiq sifaraton ke hisar ne qatl kar diya tha yahin kahin hain ye shahr-e-basara jahan pe faras ki apsaraen qadim unton ki jang mein kaam aa gai thin khilafaton aur hijraton ke asil shahid ye surkh dhaare ajab nahin khamushi ki tasbih karti raaten kisi zamane mein chikh utthin ki kaise abbasiyon ke ahd-e-muwafaqat mein siyah-sanji ubal pade the ghulam-gardish ki dastanon mein rakhna padna kahan likha tha ye surkh dhaare moarrikhon ki tarash-karda qabih girhen kabhi to kholenge sach ki khatir ai ahal-e-basra ye eatizalon ki dastanen kahan likhi thin to wasil-ibn-e-ata ki baaten jo razm-gah-e-kalam-andar chuni gai thin samaaton ne kabhi suni hain to ahal-e-basra hasan jo basri the jaante ho muhasba ki nawed le kar tumhaari khatir tumhaari mitti pe aa gae the tumhein khabar hai jab ahal-e-basra namaz padhna hi bhul baithe hasan jo basri the yan ki shorish se dur jangal mein tar-e-anfas ke tajalli se bahra-war the magar jo is roz qahr tuta janaza-gah mein the ahal-e-basra koi nahin tha khuda ke ghar mein to ahal-e-basra ye surkh dhaare khamosh the kya qadim waqton ke surkh-rawi bata ai shattul-arab ke pani yahan pe turkon ne kya kiya tha yahan walandezi kaise aae tumhaare pani ke khar-o-khas ki mithas thi ya khumar hairat ki god mein mahw-e-istirahat qadim waqton ki dastanen tamam aalam ke surkh dariya khamosh kyun hain moarrikhon ki qabih girhen kabhi khulengi hum apni apni sadaqaton mein hi rahne wale barahna lamhon ke warison mein se rah gae hain