main shayad tum ko yaksar bhulne wala hun shayad jaan-e-jaan shayad ki ab tum mujh ko pahle se ziyaada yaad aati ho hai dil ghamgin bahut ghamgin ki ab tum yaad dildarana aati ho shamim-e-dur-manda ho bahut ranjida ho mujh se magar phir bhi masham-e-jaan mein mere aashti-mandana aati ho judai mein bala ka iltifat-e-mehramana hai qayamat ki khabar-giri hai behad naz-bardari ka aalam hai tumhaare rang mujh mein aur gahre hote jate hain main darta hun mere ehsas ke is khwab ka anjam kya hoga ye mere andarun-e-zat ke taraj-gar jazbon ke bairi waqt ki sazish na ho koi tumhaare is tarah har lamha yaad aane se dil sahma hua sa hai to phir tum kam hi yaad aao mata-e-dil mata-e-jaan to phir tum kam hi yaad aao bahut kuchh bah gaya hai sail-e-mah-o-sal mein ab tak sabhi kuchh to na bah jae ki mere pas rah bhi kya gaya hai kuchh to rah jae
This is a great behad khubsurat shayari. True lovers of mata bhakti shayari in hindi will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this shama par shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!