shikast-o-fath

By muslim-shameemOctober 25, 2023
bujhe bujhe se hain shair ke zehn-o-dil ke diye
bhatak raha hai kahan jae raushni ke liye
rawish-rawish pe darakhshan hai barq-e-khauf-o-hiras
jhulas rahe hain dar-o-baam-e-jazba-o-ehsas


nazar udas hai viran hain sare nazare
jabin-e-subh se phute lahu ke fawware
zamin pe lashon ke gulshan mein khun ki nami
ab ehtimam-e-bahaar-e-chaman mein kya hai kami


jamal-e-subh-e-watan aansuon mein mudgham hai
urus-e-fasl-e-bahaaran ki aankh pur-nam hai
ba-faiz-e-jabr-o-sitam gham ne fath pai hai
wafa ke nam pe dil ne shikast khai hai


shiar-e-dida-wari se gulon ke shad nahin
chaman ke phul chaman hain ye un ko yaad nahin
sitam ko ahl-e-hawas bhi sitam samajhte hain
ye aur baat hai shoalon ko phul kahte hain


simatti raat ke sae sahar ki rah mein hain
hum aur chand ghadi zulm ki panah mein hain
22386 viewsnazmEnglish