log garmi mein shimle jate hain thande mausam ka lutf uthate hain kitni shaffaf hai faza is ki kis qadar saf hai hawa is ki udi udi ghataen chhati hain thandi thandi hawaen aati hain abhi baadal hain aur abhi hai dhup dekho qudrat ke ye anokhe rup gar safai ke haal ko dekhen aap shimle ki mall ko dekhen kitni suthri hai har dukan yahan kitna achchha hai har makan yahan hotalon ki nafasaten dekho kothiyon ki imaraten dekho sabza wadi mein lahlahata hai phirne walon ka ji lubhata hai unche pedon ki hai bahaar yahan hain khade chil dewdar yahan hain bulandi pe har makan se ye baat karte hain aasman se ye baadal itne qarib hote hain pyar se munh zamin ka dhote hain rasta gar kahin se pate hain band kamron mein bhi ghus aate hain yun to har manzar is ka pyara hai raat ka aur hi nazara hai jab hon bijli ke qumqume raushan dekho us waqt shimle ka joban qumqume kya hain kuchh sitare hain aasman ne yahan utare hain shoale se udte hain fazaon mein shamen aawara hain hawaon mein