pahli aawaz ab sai ka imkan aur nahin parwaz ka mazmun ho bhi chuka taron pe kamanden phenk chuke mahtab pe shab-khun ho bhi chuka ab aur kisi farda ke liye un aankhon se kya paiman kije kis khwab ke jhute afsun se taskin-e-dil-e-nadan kije shirini-e-lab khushbu-e-dahan ab shauq ka unwan koi nahin shadabi-e-dil tafrih-e-nazar ab zist ka darman koi nahin jine ke fasane rahne do ab in mein ulajh kar kya lenge ek maut ka dhanda baqi hai jab chahenge nipta lenge ye tera kafan wo mera kafan ye meri lahad wo teri hai dusri aawaz hasti ki mata-e-be-payan jagir teri hai na meri hai is bazm mein apni mishal-e-dil bismil hai to kya rakhshan hai to kya ye bazm charaghan rahti hai ek taq agar viran hai to kya afsurda hain gar ayyam tere badla nahin maslak-e-sham-o-sahar thahre nahin mausam-e-gul ke qadam qaem hai jamal-e-shams-o-qamar aabaad hai wadi-e-kakul-o-lab shadab-o-hasin gulgasht-e-nazar maqsum hai lazzat-e-dard-e-jigar maujud hai nemat-e-dida-e-tar is dida-e-tar ka shukr karo is zauq-e-nazar ka shukr karo is sham o sahar ka shukr karo in shams o qamar ka shukr karo pahli aawaz gar hai yahi maslak-e-shams-o-qamar in shams-o-qamar ka kya hoga ranai-e-shab ka kya hoga andaz-e-sahar ka kya hoga jab khun-e-jigar barfab bana jab aankhen aahan-posh huin is dida-e-tar ka kya hoga is zauq-e-nazar ka kya hoga jab sher ke kheme rakh hue naghmon ki tanaben tut gain ye saz kahan sar phodenge is kilk-e-guhar ka kya hoga jab kunj-e-qafas maskan thahra aur jaib-o-gareban tauq-o-rasan aae ki na aae mausam-e-gul is dard-e-jigar ka kya hoga dusri aawaz ye hath salamat hain jab tak is khun mein hararat hai jab tak is dil mein sadaqat hai jab tak is nutq mein taqat hai jab tak in tauq-o-salasil ko hum tum sikhlaenge shorish-e-barbat-o-nai wo shorish jis ke aage zubun hangama-e-tabl-e-qaisar-o-kai aazad hain apne fikr o amal bharpur khazina himmat ka ek umar hai apni har saat imroz hai apna har farda ye sham-o-sahar ye shams-o-qamar ye akhtar-o-kaukab apne hain ye lauh-o-qalam ye tabl-o-alam ye mal-o-hasham sab apne hain
This is a great mata ki shayari in hindi. True lovers of sharabi shayari video will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this sai baba shayari wallpaper is truly a work of art. Please share if you liked this!!!