ai bahadur-lal ai bhaarat suput tu tha amn-o-ashti ka pasdar amn ki khatir gaya tha tashqand tu ne kar di jaan bhi us par nisar amn-o-sulh-o-jang mein yakta tha tu bhaarti tahzib ka aaina-dar paikar-e-ijz-o-khulus-o-sadgi tu tha tahzib-o-tamaddun ka nikhaar tu ne yak-jihati ata ki qaum ko ekta ka dan bhaarat ko diya sar hua uncha hamara har jagah tu ne wo samman bhaarat ko diya azm tera aahani diwar tha salmiyat mulk ki thi teri jaan shan-e-mulk-o-qaum thi pesh-e-nazar tujh ko apni jaan se badh kar thi aan ho gai gul shama de kar raushni taqaten amn-o-aman ki dat gain zindagi ke sath wabasta hai maut ye haqiqat hai magar kitni ajib hum ko ye ehsas hota hi nahin zindagi se maut hai utni qarib zulmat-e-shab se sahar ki dilkashi yas se ummid ka raushan hai nam maut ke roke bhi ruk sakta nahin zindagi ka karwan tez-gam hind hai is qafile ka rahnuma karwan-salar mir-e-karwan amn-e-alam ka alam-bardar hai amn-parwar sulh-ju hindostan