chand lamhat ki har sal chale aate hain jaise sahra mein gulabon ki mahak aa jae jaise zulmat mein ujalon ki khanak aa jae jaise aa jae tasawwur mein koi zohra-jabin jaise tarik fazaon mein sitaron ka jamal jaise ek dard bhare dil mein masarrat ka khayal jaise bichhde hue hamraaz ke milne ka yaqin jaise talab ke sine pe khile koi kanwal jaise ho nind ke raste mein koi khwab-mahal jaise fankar ke takhil mein ek nafs hasin jaise phulon ke labon par ho tabassum ki lakir jaise ek din ko shahanshah faqir ibn-e-faqir jaise aa jae sar-e-baam koi parda-nashin jaise sangit pe naghmon ki sisakti lahren jaise hon sham ke daman mein shafaq ki lahren jaise be-rang fasane mein koi lafz-e-hasin jaise peshani-e-mashriq pe ho subh-e-kazib jaise tarik khalaon mein shahab-e-saqib jaise bhule se chala aae koi dil ke qarin kitni sadiyon se bahar-haal chale aate hain chand lamhat jinhen id kaha jata hai