kitni dilkash hain tere aariz-o-lab ki yaaden kis qadar tauba-shikan hai teri zulfon ka khayal kitna pur-kaif tasawwur hai teri aankhon ka tab kis ko hai jo dekhe teri qamat ka jamal tujh ko ek phul kahun chand kahun khwab kahun zehn-e-shair mein ba-yak-waqt ye ubhre hain sawal tere chehre ko sabhi ek kanwal kahte hain aur hum tujh ko sarapa-e-ghazal kahte hain mere jazbaat farawan mere zakhmon ke nishan teri duzdida-nigahi ka gila karte hain har ghadi phul damakte hue rukhsaron ke mere ehsas ke gulshan mein khila karte hain kya bataun tujhe apne dil-e-betab ka haal kitne dipak mere sine mein jala karte hain be-niyaz-e-gham-e-ayyam mere zehn-o-nazar gum sarab-e-lab-o-ariz mein raha karte hain teri aawaz ke shoalon mein sahar jalti hai muskurahat mein teri barq-e-tapan palti hai lekin ai jaan-e-sukhan tujh ko khabar hai ki nahin mere kashana-e-ghurbat pe nazar hai ki nahin tu ki parwarda-e-aghosh-e-nasim-e-gulshan jism-e-simin pe ye zartar tere pairahan garm jhonkon ki inayat se bachenge kab tak khar-zar-e-gham-e-hasti mein rahenge kab tak mutrib-e-waqt kahin chhed na de talkh ghazal dar hai mismar na ho jae ye naghmon ka mahal jaan-e-jaan silsila khwabon ka kahin tut na jae tere hathon se kahin jam-e-wafa chhut na jae