tumhaari babat main sochta hun to aisa lagta hai lafz sare badan-darida o sar-burida bayan-o-izhaar ke sahaare ye lafz sare mere takhayyul ki bargah-e-sukhan mein jaise qatar-andar-qatar mahjub pa-pyaada khade hue hain tumhein jo sochun to lafz sochun jo lafz sochun to aise paikar ka tarjuman koi lafz sochun jo aks-afgan ho ghamza-o-ishwa-o-ada ka nazir ru-e-nigar-o-talat khabir-e-bu-e-bahaar-o-nikhat jo husn-e-sarmad ka aaina-gar jo aariz-e-hur ka fusun-gar jo lafz khushbu abir-o-ambar jo lafz sandal shamim-e-muztar jo lafz farhang-e-khamoshi ho jo lafz aahang-e-be-khudi ho jo lafz tandid-gar ho aisa jo khal-o-khad ko kamal kah de tumhein sarapa jamal kah de jo lafz jadu ho kimiya ho jo lafz afsun ho simiya ho jo lafz tujh ko bayan kar de wo lafz aakhir koi to hoga wo lafz aakhir kahin to hoga