siyasat

By rahbar-jaunpuriJuly 12, 2021
mukaddar hai faza-e-alam-e-imkan siyasat se
bahut be-abru hai aaj-kal insan siyasat se
zamir-o-zarf ki us ke yahan qimat nahin koi
jahan mein dar-ba-dar hain sahab-e-iman siyasat se


ye ehsasat-e-tahzib-o-tamaddun ko mitati hai
siyasat aaj-kal ki kaise kaise gul khilati hai
nahin shewa siyasat ka mohabbat aur rawadari
sikhati hai parastaron ko apne ye riya-kari


na is ka koi maslak hai na is ka koi mazhab hai
dil-e-hirs-o-hawas mein ban ke rahti hai ye chingari
kisi ka ghar giraati hai kisi ka ghar sajati hai
siyasat aaj-kal ki kaise kaise gul khilati hai


ladati hai yahi ek dusre ko zat-o-mazhab par
isi ki shah pe qatl-e-am hota hai yahan aksar
raunat ye sikhati hai munafiq hukmaranon ko
isi ke batn se hote hain paida jabr-o-zulm-o-shar


ye apne muhsinon ka khun pi kar muskuraati hai
siyasat aaj-kal ki kaise kaise gul khilati hai
sada ye ittihad-e-bahami par war karti hai
tassub ko hawa deti hai dil bezar karti hai


kahin tamir karti hai ibaadat-gah fitnon se
kahin khud hi ibaadat-gah ko mismar karti hai
fareb-o-makr se apne ye har-su qahr dhati hai
siyasat aaj-kal ki kaise kaise gul khilati hai


isi ke dam se faslen lahlahati hain fasadon ki
yahi takmil karti hai hukumat ke iradon ki
isi ki maslahat se bughz ke paude panapte hain
gira deti hai ye diwar baham e'timadon ki


hawa de kar ye bad-unwaniyon ki lau badhati hai
siyasat aaj-kal ki kaise kaise gul khilati hai
ishaare par isi ke shahr qasbe ganw jalte hain
isi ki aastin mein sazishon ke nag palte hain


sitamgaron pe karti hai ye saya apne aanchal ka
isi ki aad mein ashrar-o-qatil bach nikalte hain
ye qanun-o-adalat ko bhi ab aankhen dikhati hai
siyasat aaj-kal ki kaise kaise gul khilati hai


jasarat ko yahi dahshat-gari ka nam deti hai
ye ham-sae ko khud hi jang ka paigham deti hai
badalti hai yahi taqdir arbab-e-qayaadat ki
ye apne warison ko sarkhushi ka jam deti hai


ye wadon ke gharaunde regzaron mein banati hai
siyasat aaj-kal ki kaise kaise gul khilati hai
81566 viewsnazmEnglish