ye dagh dagh ujala ye shab-gazida sahar wo intizar tha jis ka ye wo sahar to nahin ye wo sahar to nahin jis ki aarzu le kar chale the yar ki mil jaegi kahin na kahin falak ke dasht mein taron ki aakhiri manzil kahin to hoga shab-e-sust-mauj ka sahil kahin to ja ke rukega safina-e-gham dil jawan lahu ki pur-asrar shah-rahon se chale jo yar to daman pe kitne hath pade dayar-e-husn ki be-sabr khwab-gahon se pukarti rahin bahen badan bulate rahe bahut aziz thi lekin rukh-e-sahar ki lagan bahut qarin tha hasinan-e-nur ka daman subuk subuk thi tamanna dabi dabi thi thakan freedom’s dawn suna hai ho bhi chuka hai firaq-e-zulmat-o-nur suna hai ho bhi chuka hai visal-e-manzil-o-gam badal chuka hai bahut ahl-e-dard ka dastur nashat-e-wasl halal o azab-e-hijr haram jigar ki aag nazar ki umang dil ki jalan kisi pe chaara-e-hijran ka kuchh asar hi nahin kahan se aai nigar-e-saba kidhar ko gai abhi charagh-e-sar-e-rah ko kuchh khabar hi nahin abhi girani-e-shab mein kami nahin aai najat-e-dida-o-dil ki ghadi nahin aai chale-chalo ki wo manzil abhi nahin aai this dawn that's marked and wounded, this dawn that night has nibbled on- it's not the dawn we expected it's not the dawn we were looking for. hoping we would find it somewhere, friends, comrades set out thinking somewhere in the desert of the sky the stars would halt somewhere the night's slow waves would find a shore somewhere the ship of our heartaches come to rest.