kabhi kabhi khud hi ulajh jati hun main shayad khud ko hi nahin samajh pati hun main kya ahliyat meri kuchh bhi nahin kya zaruraten meri kuchh bhi nahin main ye nahin kahti ki sirf main hi sahi koi insan nahin jis mein nahin koi kami ho sakta hai ki meri ummid ho kuchh ziyaada par bhuli nahin hun main insaniyat ka wada socho hamesha dene ki kuchh lene se pahle koi dil dukhae bhi to us waqt ko sah le de ke use kuchh waqt aur le ke waqt apna bhi phir dhire se de de tu apni safai dekh usi waqt barsegi khudai jit le gae ek dil bas itne jannat se zindagi yun hi kat jaegi chain amn se dekha baithe baithe hi suljha liya khud ko bas sochte hue hi pa liya khud ko rah hai mushkil par chalna zarur hai dekh teri manzil ab thodi hi dur hai