suraj ka aatish-kada

By January 1, 2017
suraj ka aatish-kada
sochta hun
waqt ki gardan pakad kar
reshmi scarf ka phanda laga kar
khinch lun


aur itni zor se chikhun
zamin se
aasman tak
sirf meri chikh hi ka shor gunje


waqt ki marti hui aawaz koi sun na pae
sochta hun
wusat-e-afaq mein parwaz kar ke
raat ki aankhon mein tariki ka parda dal kar main


chand taron ko chura laun zamin par
aur thodi der
bachchon ki tarah khush ho ke khelun
khelne se bhi jab apna dil na bahle


ek patthar par patakh kar
har khilaune ko main chakna-chur kar dun
sochta hun
aasman se chhin kar


jalte hue suraj ki thaali
ek kashti ki tarah
gahre samundar mein chalaun
aur us par sari duniya ko bitha kar


gharq kar dun
sochta hun
sochte hi sochte
main khud hi ek din


soch ke aatish-kada mein jal na jaun
69253 viewsnazmEnglish