surKH anaron ke mausam mein

By sarmad-sahbaiNovember 17, 2020
surkh anaron ke mausam mein
resham ke malbus se phuta
uryani ki dhup ka jharna
aaine mein


gardan ke gul-dan se nikla
phul sa chehra
aahista se
gundhe hue baalon ki dali


gir ke ghat pe jhuk jati hai
ek lamhe ko har shai jaise ruk jati hai
palak jhapakte aaine mein
ek khuni dain ka aks ubhar aata hai


chhat par ek fanus ki mutthi
aahista se khul jati hai
jaise chil ke par khulte hain
khushbu rang hawa aur sae


us lamhe pathra jate hain
aankhon ki shishi mein kaisi zumron ka tezab bhara hai
qatra qatra
is tezab ki lafzon mein taqtir hui hai


dekhte dekhte
aas ki surat
meri hi taswiri hui hai
34425 viewsnazmEnglish