ye main hun main jaise aap aap hain main paida hote hi uljhan mein hun agar main ishq hun to fana kyun nahin ho jati main samundar ki betab lahr hun to bah kyun nahin jati main raqs-e-junun mein hun to diwangi sar kyun nahin chadhti bechain ruh hun to jism se najat kyun nahin pati main darti hun insani ashkal mein ghumte bhediyon se main nafrat ki aag mein jale hue dilon se khauf khati hun mujhe sahra se dar lagta hai viranon se bhag aai hun zist ki tamam-tar ranginiyon aur un ki haqiqaton se aagahi hai hujum-e-dostan ke surur mein bachkana kaenat banati hun kabhi aaina-ru nazar aati hun kabhi hansti hun khud apni nadani par kabhi be-sabab udas bahut hoti hun kabhi sochti be-tahasha hun kabhi likhti hun aise ki har lafz ruh ka dard ugal deta hai aur kabhi tamam ke tamam alfaz kho jate hain banawat aur dikhawe un ko nigal jate hain main kabhi banjar hun aur kabhi janm ko janm deti hun main jazbon khwabon aur duaon ko bahut sambhaal ke rakhti hun aur un se dhage le kar khud ko bunti hun main raushni nahin magar main tariki bhi nahin ek sham ka sa malgaja hun kabhi to kabhi din ka dhundlaka hun aisi bahti hui nadi hun jis ke kinare kai git kai naghme madhur tanon mein lipte utarte hain main zindagi ke samundar ki tamam lahron ko chhuti hun aur moti moti kahaniyon mein tonic deti hun sachche salma aur rupahle gote ki tarah main khwab jiti hun main haqiqat ko paint karti hun ki main haqiqat hun apne ird-gard har achchhi buri haqiqat ka hissa hun main sar-ta-pa mom hun har aam aurat ki tarah mujhe jo bana do main bin jati hun har mahaul mein dhal jati hun mujhe bura samjha jae to bhi achchha aur achchha samjha jae to bhi kya bura !!! ye main hun main