taghayyur

By ali-ejaz-tamimiApril 22, 2023
calender ke badalne se kahan mazi badalta hai
purane zakhm bharte hain bhala aankhon ko bharne se
jo dil pe war ho jae
achanak haar ho jae


ana ko thes jo pahunche
dil-o-hosh-o-khirad pe bad-hawasi ho
badi gahri udasi ho
use jitna bhi jhutlao


nahin mumkin khalasi ho
suno hathon mein tum jitne calender tham sakte ho
unhen tum samne rakh lo
hazaron mah tum palto


hazaron sal se guzro
magar jo saneha guzra
tum us ko bhul paoge
calender ko badalne se purane gham nahin mitte


hazaron marhamon se bhi ye zakhm-e-jaan nahin bharte
calender shauq se palto
magar guzre hue lamhe na lautenge
calender ko badalne se


muqaddar to na badlenge
25902 viewsnazmEnglish