sahar ke waqt jab thandi hawaen sarsaraati hain chaman ka rang khil jata hai kaliyan muskuraati hain parinde tolte hain par nikal kar aashiyane se fazaen gunj uthti hain anadil ke tarane se takhayyul aadmi ka jab nai tashkil pata hai nizam-e-bazm-e-alam mein taghayyur hota jata hai hazaron mard-e-maidan khun pani ek karte hain rah-e-mushkil-talab se tab kahin aasan guzarte hain koi bimar ka jab puchhne wala nahin hota maraz badhta hi jata hai magar achchha nahin hota mujhe tagore ka guzra zamana yaad aata hai tapak padte hain aansu wo fasana yaad aata hai payam-e-zindagi le kar jo aaya tha zamane mein qayamat hai usi ko maut ne chhanta zamane mein