chand sitaron ki duniya mein ek din hum bhi jaenge nannhi-munni pyar ki duniya mil kar wahan basaenge sone chandi ki inton ko dhund ke laenge taj-mahal banwaenge chanda-mama ki nagri mein phul kahan se aaega raunaq apne taj-mahal ki aakhir kaun badhaega apne des se hum phulon ko chun-chun kar le jaenge taj-mahal banwaenge des mein chanda ke milte hain ai ammi kya ye bhi phal jamun kela aam sapatu narangi kathal barhal milte hain to kah do warna aakhir hum kya khaenge taj-mahal banwaenge pani to mil hi jaega us ki koi fikr nahin hoga us pyari duniya mein baadal ka bhi des kahin khod ke nahren baadal hi ko us mein la baithaenge taj-mahal banwaenge subh-sawere koyal koi git wahan bhi gati hai phulon ki dali pe chidiya baith ke phir ud jati hai jab ye chiz nahin to aakhir lutf wahan kya paenge taj-mahal banwaenge apne des ki pyari chizon ka milna jab mushkil hai des mein chanda ke jo jae samjho us ko jahil hai chhod ke sari duniya ko hum apna des basaenge taj-mahal banwaenge