talash

By shaista-yusufOctober 26, 2023
main dhundhti hun
rahmat-e-baran
mitti ki khushbu
hawaon ke naghme


jharne umadte hue
bahti hui naddiyan
mausam-e-baran hai
khushbuon mein rach-bas kar


har pahar mahakti hai
jharne umadte hain
madhosh naddiyan hain
main bahti jati hun


lekin
samundar ke aane tak
qadam ruk se jate hain
gunahgar hai ye badan mera


simatta hai lahron mein
chamakte hue dagh ki tarah
phir se
ubharta hai aankhon mein


dhundhti hun main
khaliq ko
jo aa ke bhaari badan ye badal dale
phul kar de mujhe


aur main
phir se pani pe
aahista aahista
bahne lagun


59989 viewsnazmEnglish