tawajjoh wo yahan kis ko mili hai khuda ne kya kasar chhodi thi koi tawajjoh khinchne ki magar kya hath aaya tamasha-gah tak lae gae the muft mein hum ticket bhi wapsi ka jeb mein us ne hamari rakh diya tha ki hum be-fikr ho kar khel ka us ke maza len faqat ta'rif karne ke 'ewaz tali bajaane ke 'ewaz jannat bada in'am tha tamashe raushniyon ke bhi sab dilchasp the magar phir bhi hamein aisa nahin lagta tamasha dhyan se dekha kisi ne wo jis ek wah ki khatir ye sara intizam us ne kiya tha dilon se wo kabhi nikli kisi ke agar ye sab khuda ke sath ho sakta hai to hum kya hamare chhote mote khel kya bazigari kya sabab banta nahin shikwe ka koi bila matlab tamasha dekhne walon se apne hum khafa hain khuda ko jab yahan achchhe tamashai na mil pae to hum kya hain