main apni umr ki aadhi sadi guzar aaya yahin se fikr mein sanjidgi ubharti hai ye umr ek doraha hai zindagi ke liye ubhar si aati hain tabdiliyan khayalon mein bikharne lagti hai chandi bhi sar ke baalon mein ye aur baat ki aadhi sadi guzar aaya ye aur baat ki sab kuchh badal gaya hai magar tumhaara rup wo hi hai jo kal tha aankhon mein tumhaare husn-e-tabassum se pyar hai ab bhi wo dil-gudaz sa ek intizar hai ab bhi hasin chehron mein tum ko talash karta hun takhaiyyulat mein rukhsar ki tamazat hai tumhaare aariz-e-khush-rang ki shafaq ban kar main khwab khwab kai hijr le ke aaya tha sulagte lamhe the aur gesuon ka saya tha tumhein to bichhde hue kitne sal bit gae magar ye guzre hue mah-o-sal achchhe hain tumhein jo dekha nahin itni der se main ne to aaj soch raha hun ki ye bhi achchha hai ye hijr mere tumhaare liye ghanimat hai mere khayal ki kis tarah shan rah patin na tum bichhadtin to kaise jawan rah patin