sare jahan se achchha hindostan hamara hum bulbulen hain is ki ye gulsitan hamara ghurbat mein hon agar hum rahta hai dil watan mein samjho wahin hamein bhi dil ho jahan hamara parbat wo sab se uncha ham-saya aasman ka wo santari hamara wo pasban hamara godi mein khelti hain is ki hazaron nadiyan gulshan hai jin ke dam se rashk-e-jinan hamara ai aab-rud-e-ganga wo din hai yaad tujh ko utra tere kinare jab karwan hamara mazhab nahin sikhata aapas mein bair rakhna hindi hain hum watan hai hindostan hamara yunan o misr o ruma sab mit gae jahan se ab tak magar hai baqi nam-o-nishan hamara kuchh baat hai ki hasti mitti nahin hamari sadiyon raha hai dushman daur-e-zaman hamara 'iqbaal' koi mahram apna nahin jahan mein malum kya kisi ko dard-e-nihan hamara
This is a great hindi shayari yaad. True lovers of ganga snan shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore muharram shayari 2017. Please share if you liked this!!!