marhaba ai khak-e-pak-e-kishwar-e-hindostan yaadgar-e-ahd-e-mazi hai tu ai jaan-e-jahan kaise kaise auliya guzre aur qutub-e-zaman jin ke qadmon ne banaya hai tujhe jannat-nishan raushni se tere phaila hai ujala har taraf tera duniya mein raha hai bol-baala har taraf kyun na kahiye tujh ko ek sarchashma-e-ab-e-baqa hain ye aasar-e-qadima tere ganj-e-be-baha roz o shab nairangiyan teri hain kya kya jaan-faza kis qadar hai ruh-parwar ye teri aab-o-hawa gardish-e-ayyam se go main phirun nazdik o dur har jagah yaad-e-watan hai maya-e-aish-o-surur ab to lazim hai ki hon bedar abna-e-watan ho dilon mein jazba-e-millat-parasti josh-zan ghalghala teri sataish ka ho ta-charkh-e-kuhan aur tere jaan-nisaron ke ho lab par ye sukhan mit nahin sakte kabhi tere usul-e-ittifaq kyun na ho ai hind tujh ko daur-e-nau ka ishtiyaq jabki jari ho zabanon par ye kalma subh o sham naghma-ha-e-saz se badh kar hai jo mojaz nizam yani sulh-o-ashti ka den hum aapas mein payam mushkilen aasan hon bigde hue ban jaen kaam runuma jis ki badaulat jalwa-e-ummid ho dur zulmat ho dilon se aur ghar ghar id ho din o aain hain juda sab ke magar ai khak-e-hind god mein tere rahen shir-o-shakar ai khak-e-hind teri khidmat par jo bandhenge kamar ai khak-e-hind honge wo tere liye silk-e-guhar ai khak-e-hind zeb-o-zinat mein tu ai jaan-e-jahan mashhur hai khair o barkat se tu ai hindostan mamur hai roz o shab qaumon ko hoti hai taraqqi ya zawal kar saka lekin na tujh ko daur-e-gardun paemal har zamane mein raha tera ajab jah-o-jalal saya-e-rahmat ne daim tujh ko rakkha hai nihaal gar nazar aae kabhi gham ki ghata chhai hui tal gai hai sar se tere har bala aai hui ikhtilaf-e-din-o-millat ke ye jhagde hon tamam jo musibat ban gae hain aaj bahr-e-khas-o-am hai mubarak jo tujhe hasil hai amn o intizam ba musalman allah allah ba barahman ram ram khaksari mein tu ab tak shohra-e-afaq hai makhzan-e-fazl-o-hunar hai madin-e-akhlaq hai