jise bhuk ki aag garma rahi hai wo chulhon ki khali patili ka naghma parosega naron ki thaali saja kar ye din bhuk ke taish khane ka din hai sunami ki hai aur na bhuchaal ki hai na kashmir ki hai na bangal ki hai jis aawaz par jag utthegi mamta wo kangal bachchon ke kankal ki hai us aawaz ko gungunane ka din hai bade inqilabi hain muflis ke tewar zamane ki ayyashiyon ko bata do chalo nili raaton ki chup bastiyon ko saweron ke qadmon ki aahat suna do mahal se nikalta nahin hai jo suraj sadak par use khinch lane ka din hai jala dalo wadon ki jhuti kitaben ghalat likhne wala qalam tod dalo baja do takabbur ki inton se inten dar-o-baam-e-jah-o-hasham tod dalo pahadon mein rasta banane ka din hai ye din bhuk ke taish khane ka din hai