aakash ke nile mandal par jo taron ki gul-kari hai saj us ki kya man-lewa hai dhaj kaisi pyari pyari hai aur kahkashan jo bich mein hai wo phulon ki phulwari hai kya nikhra nikhra gulshan hai kya pyari pyari kyari hai tasnim nikal kar kausar se firdaus ke andar sari hai ya samjho dudh batashon ki aakas pe ganga jari hai aur tare jab is sagar par kuchh hanste hanste aate hain munh nur se apna dhote hain aur khaliq ke gun gate hain kya jagmag jagmag karti hain qindilen in mah-paron ki kya jot jhala-jhal hoti hai in sundar rup sitaron ki mat dane dunke jaan inhen ye hat nahin banjaron ki ye hire jham jham karte hain mat bujh chita angaron ki kya nuri nuri mashal hain in pyare pyare taron ki kya jhilmil jhilmil karti hain fanusen shab-bedaron ki kya rup anup muzayyan hai jo mahfil ko dikhlate hain jhumka ka rang shabistan ka sab khaliq ke gun gate hain