shahon ko khabar nahin ho saki ki bulldozeron se hatai gai mayyaton ki dher mein kis kis ke ehram par lahu ne aayaten raqam kin hajiyon ki jama punji se munafea batorti hukumaten aab-e-zam-zam ke chashme aur petrol ke kuen mein tamiz karna bhul jaen to khun ki lakir haram se nikal kar mina tak pahunch jati hai shahi farman ko ibaadat ka darja dene wale muftiyon ne ye kabhi nahin dekha ki tarikh kai bar takht ko takhta bante hue dekh chuki hai shaitan ko patthar marta hua hujum apne aap ko raund kar khak mein mil jata hai aur mansur anal-haq kah kar har daur mein amar hota raha khuda nadamat ke aansu rone walon ko muaf karne mein der nahin karta aur shaitan intiqam lena nahin bhulta lekin hum bhul jate hain ki mehrab masjid ke hon ya mathon ke nekiyon aur badiyon ka hisab sirf khuda ke pas hai gin gin kar patthar marne wale un kankaron ki ginti bhul chuke hain jo ababilon ne hathiyon par girae the