rah mein chalte hue bhid se uktae hue teri aawaz suni main ne kai sal ke baad soch kar zehn pareshan raha der talak shahr ke shor-e-khurafat ke hangamon mein teri aawaz jo aai to kahan se aai phir kisi wahm ke narghe mein to main aa na gaya teri aawaz ka sargam kahin dhoka to nahin der tak zehn sawalat mein uljha hi raha koi ummid na jis baat ki thi kaise hui kaise pathrai hui aankh mein aansu aae kaise phir bhula hua qissa tujhe yaad aaya rah mein chalte hue bhid se uktae hue teri aawaz suni main ne kai sal ke baad teri aawaz ka dhoka hai agar wahm mera mujh ko rahna hai isi wahm ki sarshaari mein teri aawaz ke dhoke se ye mahsus hua koi khwahish ho tamanna ho bahakti hai zarur ab bhi sine mein koi chiz dhadakti hai zarur