teri duniya mein jangal hain hare baghat hain aur dur tak phaile bayaban hain kahin par bastiyan hain raushni ke mantaqe hain pahadon par utarte baadalon mein raqs karta hai samundar chaar-su isi amboh ka hissa nahin hun main kahan hun main main tere lams se ek aag ban kar phailna taskhir ki surat bipharna chahta tha aur itra hun kisi be-mehr sannate ke maidan mein hazimat ki dahakti ret par bikhra pada hun sham ki surat main jina chahta tha teri duniya mein tere honton pe khilte nam ki surat kahin dushnam ki surat kahin aaram ki surat main aansu tha tere chehre pe aa kar phul dharta tha tere dukh par gira karta tha qadmon mein ai chashm-e-tar kahan hun main andhere se bhari aankhon mein chalti hai hawa har-su aur udte ja rahe hain raste us mein zamanon ke kinaron se abad ke sard khanon tak hawa chalti hai har-su aur us ki ham-rahi mein do-qadam chalta nahin hun main hujum-e-roz-o-shab mein kis jagah sahma hua hun main kahan hun main teri duniya ke naqshe mein kahan hun main