thakan ki ek sham

By rifat-naheedJuly 14, 2021
kaam kitne adhure pade the
aur raushni kam se kam ho rahi thi
mujhe yun laga
meri peshani halke pasine se nam ho rahi thi


aise mein tum ne meri mang ko chum kar
mujh se sargoshiyon mein kaha
jaan afshan jabin par utar aai hai
ya sitaron ne bosa diya hai


batao bhala
ab kahan ki thakan
73015 viewsnazmEnglish