tham gai tal anfas ki

By abdul-wahab-sukhanFebruary 3, 2021
wo ek fankar tha
jis ki aawaz barson talak
mohabbat ke naghme sunati rahi
amn ke git gati rahi


jis ki aawaz se sur mukammal hue
jis ki aawaz ne lai ko bakhshi jila
us ki aawaz paigham-e-subh-e-masarrat bhi thi
us ki aawaz ek dard-e-sham-e-ghariban bhi thi


wo ek fankar tha
waqt ke saz par ga raha tha ghazal
muskurane lagi jis ko sun ke ajal
tham gai tal anfas ki


dam-ba-khud sare sur rah gae
jhilmilane lagi shama-e-lutf-o-surur
ahl-e-mahfil sabhi nauha-khwan ho gae
aur wo mutrib-e-dil-baran


sab ko mahw-e-alam chhod kar
so gaya daimi nind ki narm aaghosh mein
46811 viewsnazmEnglish