tilism-e-sada
By hafeez-aatishJanuary 3, 2024
ye sote sote
mujhe kya hua ki uth baitha
kisi ki yaad mein tadpa
na khwab se chaunka
na koi aandhi
na tufan ka shor tha bahar
tamam shahr tha khamoshiyon mein duba hua
bahut andhera tha andar
sujhai kya deta
main justuju ko jalae hue nikal aaya
aur dur tak
kai raston pe ja ke laut aaya
ab
apne kamre ki diwar ko kuredta hun
ki aaj shayad
yahin se koi sada aae
aur ye tilism-e-sada pichhle pahar ka tute
mujhe kya hua ki uth baitha
kisi ki yaad mein tadpa
na khwab se chaunka
na koi aandhi
na tufan ka shor tha bahar
tamam shahr tha khamoshiyon mein duba hua
bahut andhera tha andar
sujhai kya deta
main justuju ko jalae hue nikal aaya
aur dur tak
kai raston pe ja ke laut aaya
ab
apne kamre ki diwar ko kuredta hun
ki aaj shayad
yahin se koi sada aae
aur ye tilism-e-sada pichhle pahar ka tute
52834 viewsnazm • English