timeline

By abid-razaJanuary 15, 2025
bagh-e-takhliq mein
aafrinash ke qirtas par
ek khat
subh-e-kazib


azal ki siyahi se khincha gaya
mu-qalam mahiyat ka wajudi tabaq-dar-tabaq kholne aa gaya
waqt ki ye muqaddas lakir ek andhe kuen se baramad hui
mausamon aur zamanon ke abdi taghayyur ki dori se bandhi gai


dam-ba-dam
kuchh hawadis ke kham
us mein aane lage
kuchh 'anasir hue jab baham


ek zarre ke andar bani kahkashan
mehr-o-mirrikh-o-mah-o-nujum
burj-e-hamil mein sayyargan
raqs karte hue jagmagane lage


ek khaliye se nikli hui zindagi
apni bebak be-pardagi tak pahunchne mein jis ko zamane lage
dasht-e-zulmat mein dinosaur chinghadte
gul machate rahe raat bhar


subh-dam zagh-o-taus bhi git gane lage
ye samay ka nishan
ibn-e-adam ki hairat ka pahla sabaq
dewtaon ki wahshi mashiyyat se khincha gaya ek khat


kis mein himmat hai
is mein naya kham nikale ise mod de
waqt ki ye purani lakir
itni tezi se aage badhi


jaise ma'dum hone ko ho
jaise burraq ke naqsh-ha-e-qadam
hum farishta-sifat kafiron ki nigahon mein thahre nahin
aur gum ho gae


dast-e-qudrat se jari
samay ka nishan
koi din hai ki ab ye bikharne ko hai
tabl bajne ko hai


is se pahle ki gard-e-fana
khatt-e-taqwim ko dhanp de
dasht-e-imkan ke aatish-kade mein koi aag phir se jalani padegi
aane wale zamane ki sari mashini karamat


agle waqton ki kul jiniyati zahanat
yahin par ugani padegi
khak-zadon ko is khat pe apni jagah khud banani padegi
61634 viewsnazmEnglish