us roz mausam-e-khizan ki pahli barish hui jab us ne mere dar se aakhiri bar qadam nikala us ne meri rasoi se ek niwala na liya mere kuen se ek ghunt na piya aur mere honton ka ek bosa na liya balki pahle liye hue sare bose thuk diye jab mausam-e-khizan ki dusri barish hui to meri rasoi mein ek sanp nikla mere kuen mein ek meindak paida hua aur mere honton par pahli papdi jami tab se ab tak sanp rasoi mein ghat lagae hai meindak kuen mein dubka hai aur jaane wala rozana mere dar par dastak deta hai apne thuke hue bose chatne ke liye