titli

By hafeez-jalandhariSeptember 4, 2022
titli aha ji titli
rangin aur chitli
nannhi si bholi-bhaali
phulon se bhi nirali


baghon mein rahne wali
rangat paron ki gahri
kuchh surkh kuchh sunahri
donon paron mein dhaari


qudrat ne hai sanwari
lagti hai kaisi pyari
pahni hai tang kurti
us par ghazab ki phurti


pal mein agar yahan hai
dekho to phir wahan hai
batlao ab kahan hai
dekho wo ja rahi hai


ai lo wo aa rahi hai
phulon ke pas aai
aai magar na baithi
phir us taraf ko palti


ab chupke chupke jaun
us ko pakad ke laun
chakkar laga raha hun
us ko thaka raha hun


phurti dikha raha hun
uf tez hai ye kitni
titli hai ya ki fitni
ek tak bhi jamai


phir daud bhi lagai
lekin na hath aai
ek to nahin bahut hain
ye har kahin bahut hain


par in ke pyare pyare
jin par khile hain tare
dete hain kya nazare
dekho to dhang un ke


jaancho to rang un ke
bilkul safed koi
ek zard ek gulabi
ek aatishi piyazi


nannhi si jaan un ki
ye aan ban un ki
ye mohni si murat
hai kitni khubsurat


allah teri qudrat
88943 viewsnazmEnglish