tere honton se bahti hui ye hansi do-jahanon pe nafiz na hone ka bais tere hath hain jin ko tu ne hamesha labon par rakha muskuraate hue tu nahin jaanti nind ki goliyan kyon banai gain log kyon raat ko uth ke rote hain sote nahin tu ne ab tak koi shab agar jagte bhi guzari to wo barbie night thi tujh ko kaise bataun ki teri sada ke ta'aqub mein main kaise dariyaon sahraon aur jangalon se guzarta hua ek aisi jagah ja gira tha jahan ped ka sukhna 'am si baat thi jahan un charaghon ko jalne ki ujrat nahin mil rahi thi jahan ladkiyon ke badan sirf khushbu banane ke kaam aate the jahan ek ma'sum bachcha parinde pakadne ke sare hunar jaanta tha mujh ko ma'lum tha tera aise jahan aisi duniya se koi ta'alluq nahin tu nahin jaanti kitni aankhen tujhe dekhte dekhte bujh gain kitne kurte tere hath se istiri ho ke jalne ki khwahish mein khunti se latke rahe kitne lab tere mathe ko tarse kitni shahrahen is shauq mein phat gai hain ki tu un ke sine pe panw dhare main tujhe dhundte dhundhte thak gaya hun ab mujhe teri maujudgi chahiye apne satan mein sahme hue surkh pairon ko ab mere hathon pe rakh main ne chakhna hai in ka namak