dariya chadhaw par hai aur bojh naw par hai pahna-e-ab sara hai kuch ka ishaara hosh-azma nazara maujon ke munh mein kaf hai ek shor har taraf hai marg-afrin hai dhaara aur dur hai kinara koi nahin sahaara tegh-azma hain lahren teghen hain ya hain lahren tauba hawa ki tezi mauj-e-fana ki tezi hai kis bala ki tezi tadbir-e-nakhuda kya chappu ka aasra kya girdab pad rahe hain kashti se lad rahe hain takhte ukhad rahe hain naghmon ka josh khamosh sab naw-nosh khamosh hai ye baraat kis ki nau-shah aur baraati laute hain le ke doli mayus hain nigahen raqsan labon pe aahen doli mein hur paikar kya kanpti hai tharthar lekin hai muhr lab par dulha ke sar pe sahra lekin udas chehra ishrat ki aarzu thi ulfat ki justuju thi ummid ru-ba-ru thi ye inqalab kya hai aaghosh-e-marg wa hai afsos ya-ilahi kya aa gai tabahi qismat ki kam nigahi dil sard ho rahe hain rukh zard ho rahe hain is mahshar-e-bala mein is lahja-e-fana mein is sail-e-baad-pa mein sab ahl-e-yas gum hain hosh-o-hawas gum hain kuchh mahw hain dua mein kuchh nala-o-buka mein kuchh shikwa-e-khuda mein baithi hai ek bewa hai sabr jis ka shewa dil hath se dabae bachcha gale lagae tir-e-umid khae ye bap ki nishani sarmaya-e-jawani ek din jawan hoga amman ka man hoga haq mehrban hoga ek naujawan bad-akhtar bhaga hai ghar se lad kar chhode the bap-man bhi biwi bhi aur makan bhi ab chhodta hai jaan bhi ai kash main na aata ai kash laut jata ai tab-e-khud-sar afsos ai taish tujh par afsos afsos yaksar afsos ye dew-zad maujen ye nau-nihad maujen aaya phir ek rela kashti bani hai tinka bas ho chala safaya tadbir ro rahi hai taqdir so rahi hai mallah tair nikle dariya mein pair nikle afsos ghair nikle tufan-e-gham baha hai fariyaad ki sada hai hai kaun jo sanbhaale kashti tere hawale yarab tu hi bacha le ai naw ke khawayya lag jae par nayya bandon ka tu khuda hai aur tu hi nakhuda hai tera hi aasra hai