mera dil der tak soe hue munh ki bas tha jahan tum khud-raw phul ban kar khil uthi thin tumhaara munawwar wajud meri tarik ruh mein sarma ki dhup bana tumhaari aankhon ki nami se kai bahaaron ne khumar piya juton se giri mitti se bane mere hath tumhaari tarashida golaiyon se mil kar jannat ki jhil ban gae tumhaare sine se phutti aabshaar ki mausiqi ne meri zakhmi samaat ko surila git bana diya mere banjar takhayyul mein jahan jahan tumhaare qadam lage wahan main nai duniya ban kar takhliq hua ab tum ja chuki ho mere aansuon ki nadi ek tahni ko bhi shajar nahin kar saki mere iradon ki shabnam ek konpal ko bhi phul nahin kar saki samjhaute ka bhediya mere zarre zarre se tumhein noch raha hai aur udasi dubte suraj ki aakhiri kiran ban kar mere kandhon par andhere ki chadar dal rahi hai