din nikalte hain bikhar jate hain shahr baste hain ujad jate hain dastaken aahani darwaze par sar ko takra ke palat jati hain gumbad-e-khamushi girta hi nahin chalti rahti hai hawa kheton mein dalanon mein aur apne hi talatum mein utar jati hai har taraf phul bikhar jate hain dil ki mitti pe koi rang utarta hi nahin aankh nazzara-e-mauhum se hatti hi nahin zehn us hajla-e-tariki-o-tanhai mein apne kanton pe pada rahta hai waqt aata hai guzar jata hai tum jo aate ho to tartib ulat jati hai dhund jaise kahin chhat jati hai naram poron se koi haule se dil ki diwar gira deta hai ek khidki kahin khul jati hai aankh ek jalwa-e-sad-rang se bhar jati hai koi aawaz bulati hai hamein tum jo aate ho to is habs dukhan ke ghar se ranj-e-ainda-o-rafta ki thakawat se nikal lete hain tum se milte hain to duniya se bhi mil lete hain