log nahin kahte ki tum nahin dekh sakte aankhon ki bosida shakhon se phutti haryawal log nahin kahte ki tum nahin sun sakte tariki ka sarmast git log nahin kahte ki tum nahin chakh sakte zaban mein jagte mawarai zaiqe log nahin kahte ki tum nahin sungh sakte boson mein mahakti halawat log nahin kahte ki tum nahin chhu sakte lahakti hawa ka badan log nahin kahte kuchh bhi nahin kahte bas wo wahi sunna chahte hain jo tum kahte ho wo sunte hain aur tum aur bhi sarpat bhagne lagte ho nai kahaniyon ki bu sunghte parsai ke dhol ki thap par nachte nachte tum saman bandh sakte ho magar kaun dekhta hai log to kab ke samaat mein dhal chuke sirf tumhaara dahana khula hai mastur mohabbaton ke raaz ugalte ugalte tum zaban se tapakti ral ponchhna bhul gae ho bachhon se kaf udate udate ranon ke beach dam todti khwahishon ki gor-kani tumhaara muqaddar ho gai hai dekh sakte ho to dekho kahaniyon ke qadmon ki raftar mein koi farq nahin aaya