qamiz ulti pahan leta hun wahshat mein kabhi juta nahin milta kai rangon ke moze hain magar achchhe nahin lagte udhadti ja rahi hai shirt jiwan ki tarah gardan se le kar aastinon tak bichhadne se zara pahle jo tariq road se hum ne kharidi thi tumhaare ba'd kaifiyyat badalti ja rahi hai rakh-rakhaw ki pata chalta nahin kuchh din guzarne ka na mausam ke badalne ka tumhaare hath se likkhe hue khat padhta rahta hun lifafe par khud apna nam likh kar post kar deta hun dobara aur is ke ba'd din-bhar dakiye ki rah takta hun