raat ko tuta ek sitara upar se ludhka bechaara karta tha duniya ka nazara chikna tha chhajje ka kinara phisla wo shamat ka mara chhut gaya jangle ka sahaara raat ko tuta ek sitara upar se ludhka bechaara koi ye samjhe ghota mara aadhi raat baje the barah sota hai jab aalam sara raat ko tuta ek sitara upar se ludhka bechaara chand ne aakhir de ke sahaara sahn mein apne us ko utara pahle chumkara puchkara kanp raha tha thar thar sara ghar pahunchaya us ko dobara dekho tare ab mat girna achchha nahin chhajjon par phirna ab ke gaya gar jangla chhut to tum jaoge bilkul tut